Counter Strike
My take on the things and events in the world.

Sawaal-e-Zeest

I am finally done with my Ghazal on the concept of Life. I would like to extend a spacial thanks to a dear friend for proof reading it and helping out in coming up with a nice title. Mulahiza farmaiye:

Zindagi iss kadar tanha kyon hai?
Maut se iss kadar pinha kyon hai?

Woh jo jaane hai qayamat ka matlab
Maut se iss kadar darta kyon hai?

Har koi jeeney ko lutf kehta hai
Zeest sabki toh ghamzada kyon hai?

Zulm sehne ko buzdili maana
Dukh ko sehna phir hausala kyon hai?

Marna gar na-gawaar hai tujhko
Hasti-e-faani pe marta kyon hai?

Kaun hoon main, kahan hoon, meri hasti kya hai?
Kaun hai tu mere jaisa, mujhsa dikhta kyon hai?


Zeest - Life
Pinha - Concealed
Ghamzada - Filled with sorrow
Na-gawaar - Distasteful
Hasti-e-faani - Mortal life/body
Raqeeb - Enemy
3 comments:

Good verse.
Dukh nahin museebat ko face karana is hausala.


Excellent! keep up the good work


Excellent! keep up the good work



Followers

Recent Comments